मैं हूँ क्या और क्या कुछ मैं बन जाता हूँ,
रुकता नहीं किसी के ज़हन में, मैं दिल से निकल जाता हूँ।
मैं इत्तेफ़ाक़, मैं वक़्त, मैं रेत जैसे,
मैं उँगलियों से अक्सर फिसल जाता हूँ।
कभी मिलाता हूँ नज़रें खुद से,
तो आईना बनकर रूठ जाता हूँ।
गिरा हूँ मैं सबकी उम्मीदों से,
पर अब जनाज़ा बनकर उठ जाता हूँ।
मैं सुबह की भीड़ में डरा हुआ,
कभी रात बनकर गुज़र जाता हूँ।
बादलों के संग होता हूँ फरार मैं,
या इन में चाँद बनकर छुप जाता हूँ।
मैं शायर भी बस कुछ लम्हो का,
क़लम और कागज़ के बीच बिक जाता हूँ।
मैं कहानी का वोह आखरी पन्ना जैसे,
किसी की याद बनकर मिट जाता हूँ।
ना बन सका जो खुशबु कोई,
अब बनकर धुआं मैं बिखर जाता हू।
मैं आंसुओं में मिला हुआ काजल जैसे,
मैं निखरता नहीं मैं बिखर जाता हूँ।
देखे है सफर इश्क़ के मैंने हज़ार,
मैं साथ बनकर छूंट जाता हूँ।
कभी ख्वाब बनकर खूब सजता हूँ,
के फिर एक दिल बनकर टूंट जाता हूँ।
Main hoon kya aur kya kuch main ban jaata hoon,
rukta nahi kisi ke zehen mein, main dil se nikal jaata hoon.
Main ittefaq, main waqt, main ret jaise,
main ungliyon se aksar fisal jaata hoon.
Kabhi milata hoon nazarein khud se,
to aaina bankar rooth jaata hoon.
Gira hoon main sabki ummeedon se,
par ab janaza bankar uth jaata hoon.
Main subah ki bheed mein dara hua,
kabhi raat bankar guzar jaata hoon.
Badalon ke sang hota hoon faraar main,
ya in mein chaand bankar chhup jaata hoon.
Main shayar bhi bas kuch lamho ka,
qalam aur kagaz ke beech bik jaata hoon.
Main kahani ka woh aakhri panna jaise,
kisi ki yaad bankar mit jaata hoon.
Na ban saka jo khusbhoo koi,
ab bankar dhuan main bikhar jaata hoon.
Main aansuon mein mila hua kajal jaise,
main nikharta nahi main bikhar jata hoon.
Dekhe hai safar ishq ke maine hazaar,
main saath bankar chhoont jaata hoon.
Kabhi khwaab bankar khoob sajta hoon,
ke phir ek dil bankar toont jaata hoon.